Review draft by Creativedial for ReDi · Not live yet · WhatsApp buttons reach ReDi's real number
Naya: 2 minute ka Dhandha Check-up. Apna control score dekhiye. Shuru karein

Mobile distributor ke दर्द ka ilaaj

Distributor ke दर्द ka ilaaj

Mobile distributor ka apna software.

Distributor ka apna software.

Kaunsa model kis party ko gaya, kiska udhaar limit paar kar raha hai, team abhi kahaan hai. Roz subah, ek screen par.

Team kahaan hai, market mein kitna paisa phansa hai, godown mein kya ruka hai. Sab ek screen par. Live.

₹25,000/mahina se · Android aur iPhone app · GST alag

Delhiहिंदी9:34 AM

मेरा पैसा कहाँ फँसा है?

Namoona jawab: ₹2.31 Cr market mein phansa, 3 party limit ke paar. ReDi yeh har subah ek screen par dikhata hai.

Apna hisaab dekhiye: 2-minute Check-up

Delhi se Chennai tak, har distributor subah yahi poochta hai: “Mera paisa kahaan phansa hai?”

ReDi aapka Tally nahi hataata. WhatsApp nahi chhudwata. Unke upar baith kar field, udhaar aur stock ka hisaab live rakhta hai, taaki faisle andaaze se nahi, number se hon.

दिनYour day

Subah 9:40 se shaam 7 baje tak. Har ghante ka hisaab.

Neeche scroll kijiye. Upar ki ghadi aapke din ke saath chalegi.

Aapki team is waqt kahaan hai?

9:40 AMटीमTeam
Dard

“सेल्स वाले कहाँ हैं, कितनी दुकानों पर गए, पता ही नहीं चलता।”

ReDi ke saath

Har visit ka geo-tag, usi waqt.

Har rep ka beat plan app mein. Kaun kis dukaan par gaya, kya order liya, office mein turant dikhta hai. Shaam tak intezaar nahi.

Beat marking · Field tracking · RM app
Team● 23 in field
  • RV
    RaviKarol Bagh beat · 6 of 8 visits
    geo ✓
  • AK
    AnkitLaxmi Nagar beat · 4 of 7
    geo ✓
  • SM
    SameerRohini beat · 5 of 6
    geo ✓
  • DP
    DeepakBeat not started
    late
10:00 AMरिपोर्टReport
Dard

“बिज़नेस की कोई भी रिपोर्ट घंटों का काम बन जाती है।”

ReDi ke saath

10 baje ki meeting, report pehle se taiyaar.

Bikri, udhaar, target vs achievement, report khud banti hai. Aap sab dekhte hain; manager aur rep utna, jitna aap tay karein.

MIS reports · Role-based access
10:00 AM reportready
Sales, month to date₹4.9 Cr82% of target
Collections, MTD₹3.6 Cr▲ 9%

Ravi96%

Ankit81%

Sameer74%

Deepak52%

OwnerManagerRep: Ravi

Owner view: everything

11:40 AMउधारCredit
Dard

“मार्केट से कितना पैसा, कहाँ-कहाँ से आना है, अकाउंट्स के पीछे भागते रहो।”

ReDi ke saath

Limit paar? Order wahin rukega.

Har party ki credit limit tay kijiye. Order confirm hone se pehle ReDi limit check karta hai, aur aapko turant batata hai.

Credit management · Collections
Credit₹2.31 Cr · 23 parties
Order on holdCity Mart · limit ₹4.5L · due ₹4.8L
  • City Mart
    107%
  • Sharma Traders
    92%
  • Gupta General Store
    64%
  • Verma & Sons
    38%
1:15 PMबाज़ारThe market

Bikri dheemi. Maal mehnga. Byaaj roz chal raha hai.

−47%

₹20,000 se saste smartphones ki shipment, Q3 2026 mein, pichhle saal ke mukable.Counterpoint Research · Oct 2026

−26%

Q3 2026 ki kul shipment. 2016 ke baad sabse kam teesri timahi.

Omdia · Oct 2026
58.1%

Q2 2026 mein dukaan (offline) se hui bikri ka hissa. Pichhle saal 53.6% tha.

IDC · Aug 2026
H1 2027

Kam se kam tab tak price ka dabav bane rehne ka andaaza.

Omdia · Oct 2026

Jo stock ruka hai, us par roz byaaj lag raha hai. Shaam ko apne numbers daal kar dekhiye.

1:15 PMब्याजInterest

Market mein ruka har rupaya roz byaaj khaata hai.

₹98,630

₹1 crore udhaar, 30 din extra, 12% salana byaaj par. Seedha munafe se.1,00,00,000 × 12% × 30 ÷ 365

₹49,31515 din
₹98,63030 din
₹1.97 L60 din
₹2.96 L90 din

Har ₹1 crore par, 12% salana byaaj. Shaam ko apne numbers daal kar dekhiye.

3:00 PMस्टॉकStock
Dard

“किस रिटेलर के पास कितना स्टॉक पड़ा है, पता चलता है, मगर बहुत देर से।”

ReDi ke saath

Har IMEI ka hisaab, ek search mein.

Godown ka stock, live.

Stock-in, stock-out aur serial number tracking. Kaunsa model kis party ko kab gaya, kya kam pad raha hai, kya ruka hai, sab saaf.

Stock-in, stock-out, SKU variants. Kya kam pad raha hai aur kya ruka hai, order lene se pehle pata.

Inventory management · Excel bulk upload
StockSerial no. trackingSKU-wise · live
IMEI 35 8291 10•••• 4821→ Gupta Telecom12 Oct · Invoice #2381 · by Ravi
  • P7 5G · 128GBIn 240 · Out 222
    18 left
  • X2 Pro · 256GBLast sale 21 days ago
    slow
  • N9 · 64GBIn 300 · Out 180
    120
Detergent 1kg · ×1240 cases in godownLast sale 19 days ago · slow
  • Namkeen 200g · ×24In 120 · Out 114
    6 left
  • Atta 10kgIn 80 · Out 58
    22
  • LED bulb 9W · ×10In 60 · Out 41
    19
5:30 PMऑर्डरOrders
Dard

“स्कीम, टारगेट, इंसेंटिव: एक्सेल, व्हाट्सऐप, कॉल और ढेर सारे कागज़।”

ReDi ke saath

Order phone se. Scheme apne aap.

Rep RM app se order leta hai. Product, category ya party ke hisaab se scheme khud lagti hai. WhatsApp par samjhane ki zarurat nahi.

Order taking · Scheme management
New orderRM app · Ravi
Verma & SonsCredit check ✓ 38% used
  • P7 5G 128GB × 10₹1,52,400
  • N9 64GB × 20₹1,96,000
  • Buds Z1 × 15₹16,350
  • Namkeen 200g × 24 cs₹48,960
  • Detergent 1kg × 12 cs₹52,200
  • Atta 10kg × 30₹25,440
Festive scheme · 2% off applied
Total₹3,57,455₹1,24,068
Confirm order
7:00 PMकलेक्शनCollection
Dard

“ओनर सर दिन में पाँच बार पूछ लेते हैं: कल कितना बिका, आज कौन गया, लेजर में क्या बचा।”

ReDi ke saath

Shaam 7 baje, aaj ka collection pata.

Poora ya aadha payment, cash ya cheque, field se seedha office mein, usi waqt. Owner khud dekh lete hain; manager ko baar-baar batana nahi padta.

Collection management · Real-time sync
Collectionstoday
Collected today₹6,80,00014 entries · all synced
  • ₹
    Verma & Sons₹45,000 · partial · cash · 6:42 PM
    synced
  • ₹
    Sharma Traders₹1,20,000 · cheque · 5:15 PM
    synced
  • ₹
    Gupta General Store₹62,500 · UPI · 3:50 PM
    synced

Sabhi screens par namoona data hai. Asli app English mein hai.

7:30 PMमुनाफ़ाMargin
Dard

“सालों से वॉल्यूम तो बढ़ रहा है, मगर मार्जिन वहीं का वहीं।”

Din ka hisaab: ruka hua paisa roz kitna munafa kha raha hai?

Roz ka byaaj
₹6,575
₹2.96 L45 din ka byaaj
49%munafe ka hissa gaya
91 dinmein poora munafa khatam
Bacha munafaByaaj mein gaya

Aapka ₹2 Cr ka stock agar 45 din ruka, to ₹2.96 lakh byaaj mein gaye. Yeh aapke 3% margin ka 49% hai.

Hisaab kaise lagaya

Byaaj = rakam × byaaj dar × din ÷ 365. Munafa = rakam × margin. Aapke numbers, aapka hisaab. Yeh ReDi ka koi daava nahi hai.

8:00 PMपहले / अबBefore / after

Register se screen tak.

Wahi kaam. Bas bikhra hua nahi.

Beech ka gola kheench kar dekhiye

8:30 PMभरोसाProof

Wahi dukaanein. Wahi ilaaka. Zyada dhandha.

5 → 7visit, har rep, har din
+40%outlet coverage
₹4.2 Crsaalana GMV badhat
7×ROI · ₹3L kharcha, ₹21L munafa

Ek ReDi distributor ka data, naam gupt rakha gaya hai. Koi nayi dukaan ya naya ilaaka nahi joda gaya.

“Working with ReDi, I find the company highly professional. I find ReDi as the backbone of our business.”
Sanjeev Khurana · Bikano distributor, Punjab aur Himachal Pradesh

Ek dashak ka distribution ka kaam

  1. 2015ARMS: Amazon ke liye sales-force automation
  2. 2020Distributors aur retailers ke liye marketplace
  3. 2024ReDi: distributor ke roz ke kaam ka system

100+ brands ke distributors ReDi par kaam karte hain, jaise electronics distributor Sektra.

8:45 PMकिसके लिएWho it's for

Seedhi baat: ReDi kiske liye hai.

Sabse sahi fit

Mobile aur electronics distributor

ReDi isi trade mein bana. Serial number, scheme, credit limit aur beat, sab yahan roz ka kaam hai.

Team ka size

  • 5 se kamAbhi shayad zarurat nahi
  • 5–9Quarterly plan, 10 users tak
  • 10–40Sabse zyada fayda
  • 40+Rollout alag se plan
Core fit

FMCG, electricals aur agri input

Team, order, udhaar, scheme aur report har distributor ke kaam aate hain. Aapki category ki khaas zarurat Check-up mein batayein; ReDi unhe distributors ke saath aage bana raha hai.

Pakka nahi? 2 minute mein pata kijiye.

8 sawaal. Aapka score, aur seedha jawab ki ReDi aapke kaam ka hai ya nahi.

Check-up shuru karein
9:00 PMजाँचCheck-up

Din poora. Ab Dhandha Check-up · 2 minute · muft

Aapki distribution kitni control mein hai?

Har sawaal ek tap ka. Aakhir mein: aapka control score, paisa aur time kahaan ruk raha hai, aur ReDi aapke kaam ka hai ya nahi.

ReDi Check-up1 / 9
Namaste! 8 chhote sawaal, 2 minute. Shuru karte hain.
Aap kis cheez ke distributor hain?
दामPrice

Seedha price. Aapki bikri par koi commission nahi.

Har plan mein RM app, BM app aur web portal ka poora access, saath mein online training aur implementation.

Quarterly

₹75,000

har 3 mahine

  • 10 users tak
  • Support: Som–Shukr, 10 AM–5 PM

= ₹25,000 / mahina

Half-yearly

₹1,50,000

har 6 mahine

  • Unlimited users
  • Support: Som–Shukr, 10 AM–5 PM

= ₹25,000 / mahina

Annual

₹3,00,000

har saal

  • Unlimited users
  • Support: Som–Shukr, 10 AM–5 PM

= ₹25,000 / mahina

Sab price GST ke bina. Price mein online training aur implementation shamil, India mein installation ke liye. Price badal sakte hain.

Kaunsa plan sahi rahega? WhatsApp par poochiye

Field ke liye RM app. Office ke liye BM app aur web portal.

Web portal

Back office ka poora kaam: order tracking, scheme, MIS report.

सवालQuestions

Jo sawaal sab poochte hain.

Kya ReDi Tally ki jagah lega?

Nahi. Hisaab-kitaab Tally mein hi rahega. ReDi field, order, udhaar aur stock ka roz ka kaam sambhalta hai. Tally se direct sync abhi nahi hai; customer, product aur price ki list Excel se ek saath upload ho jaati hai.

Meri sales team app chala paayegi?

RM app Android aur iPhone dono par chalta hai. Online training aur implementation har plan mein shamil hai. App abhi English mein hai.

Mera data kitna safe hai?

SSL encryption, apne aap backup, role ke hisaab se access, aur regular system audit. Kaun kya dekhega, yeh aap tay karte hain.

Kharcha kitna hai?

₹75,000 har 3 mahine (10 users tak), ₹1,50,000 har 6 mahine, ya ₹3,00,000 saal ka (unlimited users). GST alag. Aapki bikri par koi commission nahi.

Mere category ke liye kaam karega?

ReDi mobile aur electronics distribution mein bana. Team, order, udhaar, scheme aur report har distributor ke kaam aate hain. Aapki category ki koi khaas zarurat ho to Check-up mein batayein; demo mein seedha jawab milega.

5 se kam sales staff hai. Kya lena chahiye?

Seedha jawab: zyada tar nahi. Itni chhoti team par WhatsApp aur Excel se kaam chal jaata hai. Team 8–10 logon ki ho jaaye, tab ReDi ka fayda saaf dikhta hai.

Demo kaise milega?

WhatsApp par Demo likh kar +91 92170 70199 par bhejiye. Pehle Check-up kar lenge to demo aapke jawabon ke hisaab se hoga.

Faisla akele nahi hota.

Apne partner ya manager ko bhejiye. Unhe bhi 2 minute lagenge.

Kal subah ki report, aaj hi dekhiye.

WhatsApp par Demo likh kar bhejiye. Ya pehle 2 minute ka Check-up kar lijiye.

+91 92170 70199
Check-up WhatsApp demo